Roman Hindi Urdu Me Post Likhne ke Fayede – Best Tips for Urdu Bloggers

Bharat me in dino bdi tadat me log blogging sector me aa rhe hean. Jisme bahut se blogger apni post Roman Hindi Urdu me likhna pasand kr rhe hean. Kuchh waqt pehle bharat me sirf English bloggers ka hi bolbala tha.

Roman Hindi Urdu Me Post Likhne ke Fayede
रोमन हिंदी उर्दू में पोस्ट लिखने के लाभ

Lekin jab se Google Adsense ne Hindi language ko support karna shuru kiya hea. Tab se blogging sector ki puri picture hi badal gyi hea.

  • Pakistani Bloggers Is Link Se Apne Mobile Me News Dog App Download kare, Aur Us Par Likh Kar Paise Kamaye

Pure Uttar Bharat me Hindi language ko jaane, samajhne aur bolne wale log rehte hean. Uttar Bharat me rehne wale logo ki English bahut hi week hoti hea.

Jabki dusri regional language bolne wale logo ke sath aesa nhi hea. Veh apni regional language ke sath sath English pr bhi puri pakad rakhte hean.

Pr Hindi bhashi logo ke liye English Kashmir samasya se km nhi hea. Isliye Hindi blogger Hindi me hi blog banana pasand karte hean.

Jab Google Adsense Hindi ko support nhi karta tha, tab Hindi blogger apne blog pr hard work nhi karte the. Hindi blogger sirf hobby ke tor pr hi apna blog chalate the.

Is dauran Hindi bloggers ne kabhi apne blog ko professional tarike se chalane ke bare me nhi socha. Hindi bloggers aesa sochte bhi kese ? Hindi blog se income to hoti nhi thi.

Income na hone ki vjeh se Hindi bloggers ko lagta tha ki veh blogging krne me apna time waste kr rhe hean.

Is waqt jo halat hean veh pehle se kuchh behter hue hean. Lekin abhi bhi Hindi bloggers ki problems km nhi hui hean.

Hindi bloggers ko Search Engines pr uchit isthan nhi milta hea. Jisse Hindi blogs pr visitor km aate hean. Visitors ki sankhya km hone ke karan Hindi blogs pr page views km hote hean.

Roman Hindi Urdu Me Articles Kyon Likhe Ja Rahe Hea ? Earn Money from Hindi Urdu :

Aese blogger jo apni post Devnagri Lipi yani shudh Hindi me likhte hean. Unke man me yeh sawal jarur uthta hea ki kuchh blogger Devnagri Lipi ke bajaye Roman Hindi Urdu me apni post kyon likh rhe hean ?

Hindi blogger jo apni blog post Roman Hindi me likh rhe hean, Unko Roman Hindi Urdu me post likhne ka bda fayda mil rha hea.

Roman Hindi Urdu me post likhne ki vjeh se Search Engines par unki post pehle 10 result me show hone me kaamyab ho rhi hea.

Jabki Devnagri Lipi yani shudh Hindi me likhne wale blogger Search Engines me bahut hi pichhe hean. Search Engines se visitors nhi milne ki vjeh se Hindi bloggers ki income bahut hi kam hea.

Devnagri Lipi me likhne ki vjeh se SEO set karne me bahut dikkat aati hea. Hindi me likhne ki vjeh se SEO Agency post ko padh nhi pati hea. Jisse blogger ko Red warning show hone lagti hea.

Devnagri lipi me post likhne ke karan SEO Agency, Post with bad SEO score aur Readability – Need improvement ka notice deti hea.

Jo blogger SEO service use karte hean. Unhen iske bare me achchhi treh pta hea. Blogspot pr blog chalane wale logo ko iske bare me km jankari hea.

Blogspot pr blog chalane wale Hindi blogger apne blog pr SEO km hi use karte hean. Unke blog pr Sitemap, Privacy policy, TOS, About me aur Contect me jese page bhi km hi dekhne ko milte hean.

Kehne ka matlab yeh hea ki aese Hindi bloggers ko blogging ki puri jankari nhi hea. Isi vjeh se SEO par bhi Hindi blogger dhayan nhi de pate hean.

Jo Hindi blogger WordPress pr professional tarike se apna blog chala rhe hean. Veh tamam baton ka dhayan rakhte hean.

Unme se ek SEO bhi hea. Roman Hindi yani Hinglish me post likhne ke karan unki websites aur blogs par bharpur visitors milte hean. Sath hi khoob page views bhi hote hean.

Is ka karan yeh yeh hea ki unki post Search Engines me pehle 10 results me show karti hea. Jo ki bahut bda fayda hea.

Roman Hindi Urdu Me Post Likhne Ki Best Tips For Successful Blogs :

Roman Hindi Urdu me post likhne ka dusra benefit yeh hea ki aapke blog ki post bharat se door Pakistan me bhi padhi ja sakti hea.

Ydi Bangladesh me Urdu language jaane wale log hean, to veh bhi aapki Roman Hindi me likhi hui post ko aasani padh aur samajh sakte hean.

Kul mila kr dekha jaye to Roman Hindi Urdu ka apna ek global effect hea. Roman Hindi me likhi gyi post ko Pakistan aur Bangladesh ke Urdu Bhasi visitor bhi mil jate hean.

Achchhi baat yeh hea ki Google Adsense bhi Roman Hindi me likhne wale blogs ko khoob support kr rha hea.

Roman Hindi Urdu Me Likh Kar Blog Chalane Me Hone Wali Preshania :

Kehte hean na ek sikke ke 2 pehlu hote hean. Abhi aapne jana ki Roman Hindi Urdu me likhi jane wali posts ke kya benefit hean ?

Ab me aapko batata hu ki Roman Hindi me likhne ke kya nuksan hean. रोमन उर्दू हिंदी me blog post likhne ka sabse bda nuksan yeh hea ki, Jo bloggers Devnagri Lipi me apna blog likh rhe hean.

Wo aapse naraj ho sakte hean. Kyonki veh Hinglish ya Roman Hindi Urdu  me likhi hui posts ko padhne ke habitual nhi hean.

Roman Hindi me likhi hui post ko padhne me unhen problem hoti hea. Aese bloggers ya visitor ka saaf manna hea, ki jab aap Shudh Hindi me likh sakte hean, to Hinglish ya Roman Hindi Urdu me likhne ki jarurat kya hea ?

Lekin me रोमन हिंदी उर्दू ka virodh karne wale bloggers ka gussa shant krna chahta hun. Jab tak Internet ki duniya me English ka dabdba rhega.

Tab tak kuchh bloggers ko apni post Roman Hindi Urdu me likhne pr vivash hona hi padega. Kyonki present time me jo bhi technology moujud hea.

Veh Hindi samet dusri Regional Languages ko bilkul support nhi karti hea. Mea pehle bhi kehta rha hu ki jab tak Google apni machines me improvements nhi karta hea, yeh problem bni rahegi.

Present time me “kala akshar bhens brabr” wali isthiti hea. Machines Regional Languages ko padh hi nhi pati hean.

Google jesi bahut si companies ko USA aur UK ke alawa dusre deshon aur Regional Languages pr bhi dhayan dena hoga.

रोमन हिंदी उर्दू Me Likhne Ka Mera Anubhav :

Duniya ki kya kahen ? Mea aapko apna experience batata hu. Mujhe un blogs ko padhna jyada pasand hea jo shudh Hindi me likhe jate hean.

Lekin me रोमन हिंदी उर्दू me likhe hue blogs ko bhi bahut dhayan se padta hu. Iski vjeh yeh hea Roman Hindi blogs pr posts ki quality bahut achchhi hoti hea. Unke blog professional hote hean.

Mujhe English Typing nhi aati hea. Is karan mujhe Roman Hindi Urdu me post likhne me bahut dikkat hoti hea.

Jitne waqt me 1 रोमन हिंदी उर्दू post complete hoti, utne waqt me Hindi typing ke jriye mea 2-3 post complete kr sakta hu.

Km post teyyar hona mere liye ek bda loss hea. Fir bhi mea Roman Hindi Urdu me likh rha hu. Kyonki Roman Hindi Urdu ke bde fayde bhi hean. Jinke bare me aapko uper btaya gya hea.

Mea रोमन हिंदी उर्दू me likhna fouran se peshter band kr sakta hun. Pr Google jesi companies ko Hindi bloggers ki madat ke liye aage aana pdega.

Ydi sare labh Shudh Hindi me likhne se mil rhe ho, to koi kyon Roman Hindi Urdu me likhega. Hindi bloggers ko sahi platform se is sambandh me apni aawaz uthani hogi.

Nhi to Devnagri Lipi ka isthan Roman Hindi Urdu le legi. Pichchhle 10th  World Hindi Conference, Bhopal me English language ke kuchh writers ne Devnagri Lipi ke isthan pr Roman Lipi me Hindi ko likhne ki jordar vkalat ki hea.

English Language ke writers ne रोमन हिंदी उर्दू ki perokari Google, Yahho, Bing aadi search engines pr hindi ko jgeh na milne ki vjeh se hi ki hea.

Kuchh bhi ho Hindi vs Roman Hindi Urdu ka mudda bahut bda hea. Jab tak Hindi Urdu logo ki rozi – roti ka jriya nhi banti, Is treh ka vivad bhi hota hi rhega.

Rhi baat blogging ki to yeh bloggers ke upar hea, ki wo Hindi me likhna chahte hean ya Roman Hindi Urdu me. Yeh fesla bloggers pr hi chhod dena chahiye.

Aaj ki post aapko kesi lagi, comments ke jariye jarur batayen. Aapki bebak tippaniyon ka mujhe intejar rhega.

रोमन हिंदी उर्दू Vs Devnagri Hindi ek bahut hi gambhir subject hea. Isliye apni bebak raye dean. Aapki aalochnaon ka bhi swagat kiya jayega. Mene aaj apni is post ko Pakistan se aane wale comments ko dheyan me rakh kar update kiya hea. Taki Pakistani bloggers Roman Hindi Urdu Me Post Likhne Ke Fayede – Best Tips for Urdu Bloggers ke bare me jaan sake.

Photos via My Pixabay Account

Rate this post

Spread the love

7 thoughts on “Roman Hindi Urdu Me Post Likhne ke Fayede – Best Tips for Urdu Bloggers”

  1. बहुत उपयोगी जानकारी दी हैं आपने। इससे ब्लॉगर्स को निश्चित ही फायदा होगा।

    Reply
  2. जहाँ तक मेरा मानना है शुद्ध हहिंदी मे लिखी पोस्ट पाठक ज्यादा पंसद करते है। roman hindi मे लिखी पोस्ट को पढने मे थोड़ी परेशानी होती है ।
    मेरे जितने भी friends है उनके अनुसार वे Google मे जब भी कोई जानकारी सर्च करते है तो जो शुद्ध हिंदी या शुद्ध अग्रेजी मे हो उसे पढका पंसद करते है ।

    सर यदि मै अपने ब्लॉग पर ronan hindi मे लिखता हु तो सर शायद पाठक कम हो जाए ।

    आपके हिसाब से motivational-story and Quotes ब्लॉग पर किस मे पोस्ट लिखनी अच्छी रहती है?

    Reply
  3. Bohat hi umda post likhi hai. Mujhe English bhi aati hai magar main ne socha kay kyun na Roman Urdu aur Hindi main aik WordPress Blog/Website banai jaye. Mene abhi sirf kutch posts likhi hain. Zara bataye mujhe kay aap ko kesa laga. Takay main mazeed bhi likh sakooon. Shukria in Advance.

    Reply
    • Salam and Namastay, Bohot bohot khushi hoi ke ap ne ye post likhi. Me Pakistan se hun. Or men yahan beth kar ap ki post parh raha hun. Me khud bi roman urdu hindi me blog banana chah rha hun. ap ki bat bilkul sahi heh. Roman urdu hindi me blog hone chahye warna sirf urdu ya hindi wale bohot peeche reh jayen ge.

      Shukriya

      Rizwan from Pakistan, Lahore.

      Reply

Leave a comment